Yaad Aata Hai Hamey Faqat Tera Muskurana

Yaad Aata Hai

Yaad aata hai hamey faqat tera muskurana
Kaash ye mumkin hota terii adaaon ke gunjal se nikal pana.

Hasrat thii ke baser karey umer teri agosh me
Magar tujhe chura ke le gaya koi suna ke mohabat ka jhota afsaana

Mahez isme tumharii razamandii shamil thi
Warna kahan kisi ke ikhtiyar mein tumhe mere dil se girana

Talaf kar chukii ho tum mujhe kisi aur ke zoq e mohabat me
Ab dhnd lo mjhe ke asaan nahii malal ki mad se lot pana

Aap ab aye haiin humarii chokhat pe kafiat qalab daryaft karne ko??
To jaan lijye ke ab asaan nahi bewafao se dil
Laga ke jeeiye jana

Raqeebo ki kamii na thii fehrist tyar hai abhii bhii
Tu jo lautna chahe to tujhe ik ik naam hai sunana

Khol ke jo band karon main palkein apniii purii samaa jaye tu
Kaash merii arooj e mohabat hamara bhii banta afsana

Main jo chahu to cheen lauu tujhe purii kainaat se
Magar jeet gya zameer ki adalat me tareeka
Munsifana

Jazbaat ko tahreer me utarna fakat assaan na tha
Main jo bayan karu apna tuzk(app beti) to afsurda kardu ye zamana

Itni maharat nahi mujhe ke apke mutabadil tahreer karu
Mager ahsaas hojaye ga laga ke to dekhey hum se bhii yarana……..

Mubeen Chohan