Kuch To Log Kahain Gy

Kuch to log kahein gy

Zindagi me humara waasta bohat se esy logon se parrta hai Jo hmy bohat khas mehsus krwaty hain.. jesy jesy waqt guzarta jata hai.. wesy wesy wo humy aam kr dety hain…hamari har khasiyat ko bhool k bs humari khamiyon ko pkarty hain..un pe tabsaray krty hen..Duniya me esy b log mojud hain jin ko apni zubaan se dusron ko taklif deny me maza aata hai..ya shyd ye chez insani Fitrat me hai…Choti choti baten hm esy kr dety hain..aam se andaaz me ye janay begair k aglay insan ko iss se kitni taklif hogi or wo isy kb tk yad rakhy ga..usski ankhon se kitny ansu giren gy…wo kitni raaten jagay ga… lekin logo ki baaton ko nazar andaaz krna sikhna chahye…Gir kr uthna aana chahye hmy…esy logon ko ehmiyat he nai deni chahye jin ko apki ezzat e nafs ka khayal na ho…Logon ki baaton ki taraf dhyan dena chhorrna chahye ab hmy.. taa k zehni sakun mayyisar ho skay hmy… ALLAH ap sb ka or mera haami o nasir ho. Aameen

By Diyan Aurangzaib